SWIFT code ko Bank Identifier Code (BIC) ke naam se bhi jaana jaata hai. Yah 8 se 11 characters ka ek standard format hai, jo international money transfer ke dauraan kisi bank aur branch ko identify karne ke liye use kiya jaata hai. Yah ensure karta hai ki aapka payment duniya ke kisi bhi kone mein sahi destination tak pahunch jaaye.
SWIFT code ka example
AAAA
बैंक कोड
BB
Country ka code
C1
Location code
22D
Branch ka code
Apna SWIFT code verify karein
Pahle se code hai? Abroad mein paise bhejne se pahle, Remitly ka SWIFT code checker use karke code ka format confirm karein.
Aapka SWIFT/BIC code aam taur par aapke bank statement mein ya aapke online banking app mein mil jaata hai. Agar vahaan uplabdh na ho, to aapka bank ise directly confirm kar sakta hai. Faster option ke liye, is page ke upar diya gaya humaara SWIFT code finder tool use karein.
Kya paise bhejne ke liye aapko SWIFT code ki zarurat hai?
Almost sabhi international bank transfer ke dauraan, aapke bhugtaan ko sahi bank aur branch tak pahunchaane ke liye ek SWIFT/BIC code required hota hai. Iske bina aapka transfer delay, reject ya return ho sakta hai.
Abroad mein paise bhejne ke liye koi reliable tareeka khoj rahe/rahi hain? Remitly worldwide taur par surakshit tareeke se fund transfer karna aasaan bana deta hai.
Is page par display kiye gaye customer review Trustpilot ki taraf se collect kiye gaye hain aur alag-alag logon dwaara humaari service ke experience ko show karte hain. Ye review sirf jaankari ke liye provide kiye gaye hain aur humaare customers ke personal opinions ko represent karte hain. Hum kisi particular statement ko endorse nahin karte hain. Corridor ke hisaab se individual result alag-alag ho sakte hain aur yah zaruri nahin ki bataaye gaye experience sabhi customer ke experience ko reflect karein.
SWIFT code ke liye help paayein
Remitly FAQ
Mujhe apna SWIFT/BIC code kahaan milega?
Sabse pahle SWIFT code checker ka upyog karke apna desh, bank aur city chunein. Iske baad aap ise aasaani se haasil kar sakte/sakti hain.
Alternatively, aapko apna SWIFT code usually yahaan milega:
Aapke bank statement mein
online banking portal par
apne bank se directly contact karne par
Kya internationally paise bhejne ke liye SWIFT code ki zarurat padti hai?
Haan, zyaadaatar maamlon mein padti hai. International transfer karne ya paane ke liye, SWIFT/BIC code required hota hai. Iske bina, bank aapke payment ko reject ya delay kar sakte hain.
Pahle se SWIFT code hai? Apna code yahaan check karein.
SWIFT/BIC code kya hota hai?
SWIFT code (jise BIC bhi kahte hain) 8 se 11 character ka ek identifier hota hai, jo banks ko bataata hai ki international transfer ke dauraan pise kahaan bhejne hain. Ismein ye cheezein shaamil hoti hain:
Bank code (4 letter ka)
Country code (2 letter ka)
Location code (2 character ka)
Branch code (optional, 3 character ka)
Kya routing number SWIFT code ke jaisa hi hai?
Nahin, routing number sirf United States mein domestic transfer ke liye use kiya jaata hai, jabki SWIFT code international transfer ke liye use kiya jaata hai.
Nahin, vaise to donon international transfer ke liye use kiye jaate hain, lekin donon ko different purpose ke liye use kiya jaata hai. IBAN (International Bank Account Number) aapke individual bank account ko identify karta hai, jabki SWIFT code us bank aur branch ko identify karta hai, jiske zariye transfer handle kiya ja raha hota hai.
International payments ke liye koi SWIFT code kaise work karta hai?
Jab aap abroad mein paise bhejte/bhejti hain, tab aapka bank yah ensure karne ke liye SWIFT code use karta hai ki fund correct bank aur branch mein ja rahe hain ya nahin. Yah global financial system mein aapke bank ke "address" ki tarah kaam karta hai.
App download karein:
App ko access karne ke liye phone se code scan karein