SWIFT code ek specific format ko follow karte hain. Koi international money transfer karne se pahle apna code validate karein.
SWIFT code ke format ka explanation
SWIFT code 8 ya 11 character ka hota hai aur yah ek standard structure ko follow karta hai, jise worldwide use kiya jaata hai:
Bank code – yah 4 letter ka hota hai, jo bank ko identify karta hai
Country code – yah 2 letter ka hota hai, jo country ko identify karta hai
Location code – yah 2 letter ka hota hai, (letter ya number), jo city ya region ko identify karta hai
Branch code – yah 3 character ka hota hai (optional), jo kisi specific branch ko identify karta hai.
Ek saath milkar yah format ek global address ki tarah work karta hai aur yah sure karta hai ki aapka transfer without delay sahi bank tak pahunche.
Sahi SWIFT code kyon matter karta hai
Incorrect SWIFT code use karne se transfer delay aur reject ho sakta hai ya vaapas bheja ja sakta hai. Kuchh maamlon mein, yah galat bank mein bhi pahunch sakta hai. Costly mistakes ko avoid karne ke liye, hamesha apne code ko double-check karein. Iske format ko validate karne aur errors ko avoid karne ke liye, humaara SWIFT code checker use karein.
Remitly ke zariye apna next money transfer aasaani se karein
Is page par display kiye gaye customer review Trustpilot ki taraf se collect kiye gaye hain aur alag-alag logon dwaara humaari service ke experience ko show karte hain. Ye review sirf jaankari ke liye provide kiye gaye hain aur humaare customers ke personal opinions ko represent karte hain. Hum kisi particular statement ko endorse nahin karte hain. Corridor ke hisaab se individual result alag-alag ho sakte hain aur yah zaruri nahin ki bataaye gaye experience sabhi customer ke experience ko reflect karein.
SWIFT code ke liye help paayein
Remitly FAQ
SWIFT transfer kaise verify karein?
Aap transfer ko tab verify kar sakte/sakti hain, jab aap yah confirm kar lein ki aapke bank ke paas receiving bank ya financial institution ka sahi SWIFT/BIC code hai. Paise bhejne se pahle, humaara SWIFT Code Checker use karke format ko validate karein aur uske baad apne bank se directly check karein.
Apna SWIFT code nahin pata hai? Ise yahaan khojein.
Kisi SWIFT code ko kaise recognize karein?
Kisi valid SWIFT code mein 8 ya 11 character hote hain:
4 letter bank code ke liye
2 letter country code ke liye
2 character location code ke liye
3 optional character branch code ke liye
Main apna SWIFT code kahaan check karoon?
Aap humaara SWIFT code checker use karke apna SWIFT/BIC code yahin dekh sakte/sakti hain. Bas apna code enter karein aur hum bata denge ki aapka format sahi hai ya nahin. Final confirmation ke liye, hamesha apne bank se check karein.
Kisi valid SWIFT code ka example kya hai?
Ek valid SWIFT code kuchh is tarah dikhta hai: AAAAUS33XXX
AAAA = Bank (Bank code)
US = Country (United States)
33 = Location (New York)
XXX = Branch (optional)
App download karein:
App ko access karne ke liye phone se code scan karein