WhatsApp par Remitly ke zariye turant paise bhejein.
Kisi aur app ki zarurat nahin hai.

Limited time ke offer ke tahat, U.S. ke naye customers ko apne shuruaati 3 transfer ke liye koi fees pay karne ki zarurat nahin hai.

Ver en español

Transfer ki speed payment aur delivery method, transaction review aur system availability par depend karne waala ek estimate hai.

Currently WhatsApp ke zariye U.S. aur Spain se Mexico, Colombia, Dominican Republic, El Salvador, Guatemala, Peru, Nicaragua, Honduras, Ecuador, India aur Pakistan mein paise bheje ja sakte hain. $0 fees ka offer sirf naye customers ke liye available hai, vah bhi tab, jab ve U.S. se in deshon mein paise bhej rahe hon: Mexico, Colombia, Dominican Republic, El Salvador, Guatemala, Peru, Nicaragua, Honduras aur Ecuador. Har customer ke liye ek. Limited time ka offer. Offer 22 Sept, 2025 ko raat 11:59 PT par expire ho jaayega. Details ke liye, upar link kiye gaye har ek desh ke liye Terms aur Conditions dekhein.

Duniya bhar mein bharosemand.
North America mein LALIGA ka proud partner.

Kisi pro ki tarah paise bhejein. Fast, secure, aur easy.
La Liga ke saat soccer player apni-apni team ki jersey pahne huye La Liga EA Sports ke logo ke neeche khade hain.


United States aur Spain se Mexico, Colombia, Dominican Republic, El Salvador, Guatemala, Peru, Nicaragua, Honduras, Ecuador, India aur Pakistan mein bank account aur mobile wallet ya cash pickup ke zariye paise bhejein.

Remitly ka hazaaron providers ka bharosemand network

Recipient ki location ke aadhaar par, delivery options alag-alag ho sakte hain. Display kiye gaye trademarks, trade names aur logos unake respective owners ke registered trademarks hain. Remitly inse affiliated nahin hai ya inhein endorse nahin karta hai.

WhatsApp jise aap janate hain.
Ab instant international money transfers ke liye use kiya ja sakta hai.

WhatsApp ko use karte huye paise bhejein.

Sign up karein, rates check karein, apne paise bhejein aur same chat mein har tarah ka support paayein. Easy.
Ek construction worker apne phone mein paise bhejne, exchange rates dekhane ya koi sawaal poochhane ke liye Remitly ke options dekh raha hai.

U.S. se aasaani se paise bhejein

  1. Sign up karein
  2. WhatsApp par Remitly se chat start karein
  3. Apne transfer ki details share karein.
  4. Pay karne ke liye option select karein. Jaadu ki tarah, aapke paise transfer ho jaayenge.
Ek phone screen mein Remitly app dikh raha hai, jismein start karne, details add karne aur paise transfer karne ke options hain.

Aapka paisa deliver kiya gaya. Instantly.

Guaranteed delivery time, nahin to hum aapki fees refund kar denge. Aapke bheje gaye paise usi time par pahunchate hain, jab unhein iski sabse zyaada zarurat hoti hai. Saath hi, sidhe WhatsApp mein har update ko track karein.
Ek Remitly chat, jismein recipient amount aur limited-time waale fees-free offer ke saath 200 USD ka transfer dikh raha hai.

Transfer ki speed payment aur delivery method, transaction review aur system availability par depend karne waala ek estimate hai.

Support, jo 24/7 kabhi na ruke

Din ho ya raat, humaara help center Spanish aur Hindi ke saath-saath 16 aur languages mein aapki help karne ke liye available hai. Aisa feel karein, jaise kisi dost ko message kar rahe/rahi hon.
Ek aurat apne phone ko dekh kar smile kar rahi hai, jabki WhatsApp par Remitly ke saath chat karte huye wah Mexico ke liye exchange rate poochh rahi hai.

Jaanein ki laakhon logon ne Remitly ko kyun choose kiya.
Aur har transfer ke peechhe ki story bhi jaanein.

  • 1

    "Meri jaankari mein yah one of the best international money transfer aur fast service app hai"
    Karthik C., Trust Pilot Verified

  • 2

    “Convenient aur affordable app. Maine ab tak jin money transfer apps ko use kiya hai, yah unmein best hai! Quick aur reliable service! Main definitely ise recommend karoonga!”
    Mario, Trust Pilot Verified

  • 3

    “Yah bahut fast hai aur paise available hone par aapko notify bhi karta hai.”
    Hugo, Trust Pilot Verified

Is page par display kiye gaye customer review Trustpilot ki taraf se collect kiye gaye hain aur alag-alag logon dwaara humaari service ke experience ko show karte hain. Ye review sirf jaankari ke liye provide kiye gaye hain aur humaare customers ke personal opinions ko represent karte hain. Corridor ke hisaab se individual result alag-alag ho sakte hain aur yah zaruri nahin ki bataaye gaye experience sabhi customer ke experience ko reflect karein.

Exchange rates dekhein

WhatsApp par Remitly ke zariye transfer karke paise bhejne ki suwidha currently United States aur Spain se in deshon mein available hai:

WhatsApp ke zariye paise bhejne mein help paayein

Remitly FAQ

Kya WhatsApp par paise bhejna safe hai?

Haan. Jab aap WhatsApp par Remitly ko use karenge, tab. Paise bhejne se pahle aapko exact exchange rate, fees aur delivery time ki jaankari di jaayegi aur aap Remitly ki bharosemand aur surakshit website ke zariye payment complete karenge/karengi.

Kya WhatsApp ke zariye paise bhejne ke liye mujhe Remitly app ki zarurat padegi?

Nahin, aapko Remitly app ki zarurat nahin padegi. Aap WhatsApp par humse chat karke paise bhej sakte/sakti hain aur hum aapki online payment complete karne mein help karenge.

WhatsApp ke zariye kin-kin deshon mein paise bheje ja sakte hain?

WhatsApp par Remitly ke zariye, aap United States se Mexico, Colombia, Dominican Republic, El Salvador, Guatemala, Peru, Nicaragua, Honduras, Ecuador ke saath-saath aur kai deshon mein paise bhej sakte/sakti hain. Hum poore Latin America mein bank accounts, cash pickup locations aur mobile wallets mein transfers ko support karte hain.

WhatsApp ke zariye transfer ke liye payment karne ka tareeka kya hai?

WhatsApp mein transfer start karne par, aap Remitly ki website par payment complete karenge. Aap apne debit card, credit card ya apne bank accounts se link karke payment kar sakte/sakti hain. Hum chat start karte hi har step par aapko guide karenge.

WhatsApp par Remitly ke zariye paise kab bheje ja sakte hain?

Aap kabhi bhi WhatsApp par Remitly ke zariye paise transfer kar sakte/sakti hain — din ke 24 ghante, week ke 7 din. Bus WhatsApp open karein aur chat start karein, aur hum aapki suwidha ke anusaar poore process mein aapko guide karenge.