Remitly ka partner program join karein

Humaara partner program join karke logon ko bataayein ki Remitly ke zariye paise bhejna kitna easy hai aur is promotion ke liye paise kamaayein. Program aur join karne ke tareeke ke baare mein aur jaanein.

Partner program kaise kaam karta hai

Humein join karein
Apni pasand ke program ke liye easy application complete karein.

Promote karein
Remitly ko logon ke saath share karein. Aapki partnership ke aadhaar par, hum follow ki jaane waali guideline share karenge.

Earn karein
Suwidhaajanak bank transfer se paise paayein.
Two women looking at a mobile phone

Vah partnership choose karein, jo aapke liye work kare

Affiliate

Remitly ko apni website, app ya blog mein promote karein—aur commission paayein.

Influencer

Remitly ko promote karne waale content banaayein and paise kamaayein—apne influence ko monetize karein.

Kaarobar

Apne customers ko Remitly ke zariye paise bhejne mein help karein aur reward paayein.

Kya aap Remitly ke saath partnership karne ke liye ready hain?

Remitly ke partner program ke baare mein help paayein

Remitly FAQ

Remitly ke saath partnership kyun karein?

Jin users ko duniya bhar mein paise bhejne ki need hoti hai, Remitly unhein competitive exchange rate, low fees aur ek convenient experience offer karta hai. Chaahe aap influencer hon, koi website chalaate hon ya koi kaarobar karte hon, humaara partner program aapko apne platform se paise kamaane ke liye kaargar tareeke se empower karta hai. Saath hi, yah aisi service promote karta hai, jis par aapki audience trust kar sakti hai. Aapko dedicated support aur customizable resources ka access bhi milega, taaki aapko success paane mein help mil sake.

Yah Remitly ke Referral Program se kaise alag hai?

Remitly ka referral program personal connections ke liye design kiya gaya hai, jiske zariye aap friends aur family ke logon ko customer banane ke liye invite kar sakte/sakti hain. Wahin doosari taraf, partner program ko broader reach ke liye banaaya gaya hai—yah aapko apni website, social media, blog ya app ke zariye Remitly ko promote karne ki suwidha deta hai. Yah larger audience tak pahunch kar earn karne ke aur bhi kai mauke deta hai.

Remitly ko kaise promote kiya ja sakta hai?

Hum chaahte hain ki aap apni creativity ka use karein. Jab tak aapke promotion karne ke tareeke Remitly ki value aur guideline ke hisaab se honge, tab tak aapke paas apni audience ke liye best suit hone waali cheezein choose karne ki flexibility hogi. Yahaan kuchh ideas diye gaye hain, jinse aap start kar sakte/sakti hain:

Website ya app owner – Remitly ke zariye paise bhejne ke baare mein article likhein, apne marketplace mein Remitly ko feature karein ya apne subscribers ko bheje jaane waale newsletters mein ise shaamil karein. Aap community events mein koi QR code bhi display kar sakte/sakte hain, taaki Remitly ke use ko participants ke beech encourage kar sakein.
Social influencer – Apne content mein affiliate links ko add karein ya apne followers ke liye aisi engaging post aur video create karein, jinmein Remitly ki baat ki gai ho.
Kaarobar – Apne customers aur employees ko ek trusted money transfer solution ke taur par Remitly recommend karein.

Kya kisi bhi desh mein Remitly ko promote kiya ja sakta hai?

Humaara partner program alag-alag logon aur kaarobaron, dono ke liye open hai aur in deshon mein ise promote kiya ja sakta hai: Australia, Austria, Belgium, Canada, Cyprus, Czech Republic, Denmark, Finland, France, Germany, Greece, Ireland, Italy, Latvia, Liechtenstein, Lithuania, Malta, Netherlands, New Zealand, Norway, Poland, Portugal, Romania, Singapore, Slovakia, Spain, Sweden, the United Kingdom aur United States.
Regional opportunities ke baare mein sawaalon ke liye, please humse partner@remitly.com par contact karein.

Program join karne par kin cheezon ki ummeed ki ja sakti hai?

Join karne par hum aapki success ke liye zaruri resources provide karenge, jinhein aapke role ke liye khaas taur par design kiye gaya hai. Aapke partnership type ke aadhar par, aapko trackable link, promotional material aur dedicated support jaise tool milenge, taaki aapko apne goal paane mein help mil sake. Hum aapke saath kaam karne ke liye committed hain aur aapko ensure karte hain ki program mein aapko ve saari cheezein milengi, jo aapke aage badhne ke liye zaruri hain.

Payment paane ke tareeke kya hain?

Partners ko humaare affiliate platform ke zariye payment di jaati hai, jisse earnings ko track karna aur payments ko manage karna easy ho jaata hai. Aapki earnings ke confirm hote hi aapki account settings ki sharton ke hisaab se bank transfer ke zariye payment issue kiye jaate hain.

Aur koi sawaal hai?

Humein partner@remitly.com par email karein